π Main Theek Hoon — Ye Kehna Aasaan Tha, Par Sach Nahi Tha
π Main Theek Hoon — Ye Kehna Aasaan Tha, Par Sach Nahi Tha By Juhi — Mentor, Learner, Educator | Juhi The Explorer “Main theek hoon.” Ye do shabd kehna itna aasan ho gaya hai ki zubaan pe aate hi dil chup ho jaata hai. Lekin andar… ek alag hi kahani chal rahi hoti hai. Main theek nahi thi. Main sirf thak gayi thi bataate bataate ki main theek kyun nahi hoon. π️ Har Roz Ek Mask Pehenti Thi Main hansti thi, taaki log na poochein Main busy dikhti thi, taaki tanhaapan chup jaye Main muskurati thi, taaki aansuon ka raasta band ho jaye Main roz mask pehenti thi — taaki log meri baat ko leke panchayat na karein, judge na karein, ya mujhe kamzor na samjhein. Mujhe sirf ek pal ka sukoon chahiye tha, lekin logon ko kahaaniya chahiye thi. Aur maine seekh liya... “Theek hoon” kehna, sabse safe jhooth hota hai. πͺSach Yeh Tha: Mujhe samjha nahi gaya, bas judge kiya gaya Mujhe suna nahi gaya, bas chup kara diya gaya Mujhe sametne ki jagah, aur thoda tod diya gay...