Un Haathon Mein Maa Ka Sparsh




Un Haathon Mein Maa Ka Sparsh

Aaj ka din… dil ke bahut kareeb tha.
Aaj main apni Naniji se mili.

Yeh photo sirf do haathon ki nahi hai…
Yeh ek kahani hai — meri, meri Maa ki, aur meri Naniji ki.

Ek taraf mere haath… soft, young, zindagi se bhare hue.
Aur doosri taraf… meri Naniji ke haath… jismein har ek line, har ek wrinkle, ek kahani suna raha hai.

Unke haath dekhkar lagta hai jaise waqt ruk sa gaya ho…
96+ saal ki zindagi… kitni yaadein, kitni kahaniyaan, kitna pyaar.



Main Kalyan, Mumbai mein badi hui…
Aur Naniji Prayagraj mein rehti hain.

Zindagi ne mujhe phir se Prayagraj le aaya… meri shaadi ke baad.
Aur shayad isi liye… mujhe yeh blessing mili ki main unke paas hoon.
Jab bhi thoda free time milta hai… main bas unse milne chali jaati hoon.

Par Naniji sirf meri Naniji nahi hain…
Woh meri Maa ka ek hissa hain.

Maa humein chhod kar 18 saal pehle chali gayi…
Par sach kahun… kabhi kabhi lagta hai woh gayi hi nahi.

Kyunki jab Naniji mujhe dekh kar muskurati hain…
jab woh mere sir par haath rakhti hain…
jab woh Maa ke baare mein baat karti hain…

Tab lagta hai…
Maa yahin kahin paas hi hai.

Naniji ke haath pakadte hi… ek ajeeb si shanti milti hai.
Jaise unke haathon mein sirf unki nahi…
Maa ki warmth bhi hai.

Unhone hamesha hum dono — mujhe aur Maa ko — ek invisible thread se jod ke rakha hai.
Aaj bhi jab woh baat karti hain… toh unki baaton mein Maa se related saari yaadein taazi ho jaati hai.

Yeh photo… ek memory nahi…
Yeh ek connection hai — past aur present ke beech.

Mere haath… future ki taraf badh rahe hain.
Aur Naniji ke haath… mujhe meri roots se jod ke rakhe hue hain.

Kabhi kabhi hum life mein itna busy ho jaate hain…
ki hum yeh bhool jaate hain ki sabse bada comfort kya hota hai.

Aur aaj mujhe yaad aaya —
Sabse bada comfort hai… apno ka sparsh.

Aaj jab maine unke haath pakde…
maine sirf unhe hold nahi kiya…

Maine apni Maa ko feel kiya. πŸ’›

– By Juhi
(Juhi The Explorer)

Comments

Popular posts from this blog

🌼 To My Forever Friend: Guddu — A Bond That Found Us 🌼

My Journey as Juhi — From Holding Back to Healing Boldly

🌿 Healing Ka Safar: Jab Maine Khud Ko Thoda Thoda Samajhna Shuru Kiya